Shehad

Ye kahani mene apne office se ghar tak ke safar ke beech ki socho ko kagahz per sametne ki koshish me likhi thi taqreeban 3 saal pehle.

Originally published in id
Reactions 0
303
Badiuzzaman
Badiuzzaman 18 Jul, 2022 | 5 mins read
#paperwiff

Ye kahani mene taqreeban 3 saal pehle likhi thi, ummid karta hu pasand ayegi.

  Aaj office se jaldi farigh hogaya tha bahar aya to barish ki halki phuhar gir rahi thi jisne weekend ki khushi me ek alag hi maze ki milawat krdi thi. Office parking se hi apne hath ko thoda sa bahar nikalkr barish ki tezi ka andaza krna chaha tabhi jism ne kaha, ”miyan dekh nahi rahe ho kitne log aaj kal daftar se tabiyat-e-nasaaz ki wajah se ghayab hain, aur na bhulo ki tumhare pas bike hai na ki car ki chhat.” halanki ye akhri baat mjhe zara nagawar guzri magar shikayat kisse krta? kadwi thi magar sach thi.

 khair  Isse pehle ki dimagh jism ki baat per ghaur krta, dil ahista se bola, “Log puri saal intezaar krte hain aise mausam ka, bewaqoof na bano khuda ki barsti hui is nemat ko yu zaya na kro.” Ab dil to bachcha hai jee or bachche ne kab kisi ki maani hai. Finally dil jism se jeet gaya tha. aur mene bahar nikalne ka faisla kiya. bike start ki aur barsaat ko madde nazar rakhte hue speed ko qabu kerke apni manzil ki taraf aage badhne laga, thodi der ko ahsaas hua ki waqai dil ke faisle kabhi kbhi bade khoobsoorat hua krte hain, kyu ki gadiyon ki raushni ke sabab chamakti hui sadak, pedon ke dhule hue patte,  unper padti hui lights, aur asmaan se girte hue nanne moti Noida jaisi jagah ko bhi khoobsoorat bana rahe the. Kyu ki aaj Saturday tha to socha ki kyu na bajaye apne maqaam pe jane se behter hai ki kisi dost se milte hue phir apni taraf jaya jaye, isiliye mene apne ek purane dost ke ghar ki taraf rukh kiya aur kuch hi waqt ke baad me uski building ke niche tha.

Niche se hi Mene usey phone kiya aur apne aane ki ittela di, usne kaha ki upar  hi ajao. Ab buri baat ye thi ki uska flat panchvi manzil pe hai aur lift bhi nahi thi to ye ek bada task hota tha mere liye uske flat tak phnchna. magar irada pukhta tha to dushwari itni nahi hui, or ek sabaq bhi mila ki agar irada pakka hai to kam az kam panchvi manzil tak sukoon se jaya jasakta hai. Halanki sach kahu to ye niche se upar tak pohnchne ke liye wo khyalat the jinko sochte hue safar ke taweel hone ka ahsaas zara kam hojata hai. lekin phir bhi faisla dil ka tha to jism kaise bardasht krne wala tha, bhai sahab cheekhen nikal gayi thn aur alam ye tha ki door bell ke button tak phnchte phnchte shirt ke upar ke 2 buttons kholne pade, mere dost ne darwaza khola hamesha ki tarah mene usey zameen pe kahin rehne ka mashwarah diya, kya karta dushwar tha asmaan tak ana. Khair thodi der me saansen apni jagah agayin aur hum log baton me mashghool hogaye, kyu ki uski shadi hochuki hai to khana hum logon ne ghar per hi khaya. bhabhi  khane ke baad chaye le aayin to TV pe Arun jetley ki death se related news sunte hue chaye ki chuskiyan lagayin. “Acche aadmi the” Hum teeno me se kisi ne kaha tha beech me shayad. khair politician the. ;-)

jab khane ko aur kehne ko kuch nahi bacha to socha ki wapas zameen per chala jaye, isliye bhabhi k khane or chaye ki tareef ke sath ussey ijazat leker aur phir kisi din mulaqat ka wada keke niche agaya.

Aur phir samne aya kuch aisa jisne aaj ungliyon ko keyboard per harkat kerne per majboor kara. Asal me hum sabhi ke sath zindgi me kuch aisa zaroor hota hai jise wo insaan hamesha yaad rakhta hai. Mein jaise hi niche utra samne ek shehad bechne wala khada hua tha , kyu ki me shehad ka shauqeen raha hu to thodi dilchaspi se usey bike start krte hue dekh raha tha, usne shayad meri dilchaspi ko smjhte hue mjhse kaha, “shehad loge bhaiya?”

mene inkaar me sar hila diya, mgar pata nahi kuch der ke baad phir janab dil sahab machle aur yu machle ki thoda leker hi mane.

Me shehed lekr apne room per agaya. Aker thoda phone me jhanka ki kis kis ne kis kis tarah yaad kara. mjhe msgs krne walo me 2 group office ke the ek group doston ka ya phir ghar se. Khair  msgs itne nahi the ki second ki sui ek chakkar pura kr pati to phone side me rakhkr me yuhi khamosh baith gaya, aur nazar gai laye hue shehad per aur zehen gaya ussey jude hue ek na bhulne wali aap beeti aur seekh per.

shayad 3 saal purani baat rahi hogi me Delhi me hi tha, aur raat ko khane wane se farigh hoker qareeb 11 baje phone me ek movie dekhne me lag gaya tha, movie achhi thi to dekhna jari rakha aur irada kiya ki puri karunga, ek bahana ye bhi tha ki aane wali subah Sunday ki thi to zara sukoon tha.

lekin jab movie khatm hui to 1 se zyada ka waqt hochuka tha, aur bhukh lagne lgi thi. Aur meri ek bht kharab adat rahi hai ki me apne sath kuch nahi rakhta hu aisa ki agar raat me bhookh lage to wo sahara ban sake. bhookh ki shiddat zyada thi to thodi bechaini hone lagi, mene talash kra ki kuch mil jaye room me jisse kuch sahara hojaye, magar kuch nahi tha. me thoda mayus wapas bistar per aker baith gaya. tabhi yaad aya ki me shehad laya tha soch ke sath hi me dabbe ki taraf lapka, magar afsos ki usme bhi shehad ke naam per dabbe ke tale se laga hua thoda sa hi shehad tha. lekin angrezi ki ek kahawat hai ki “HALF A LOAF IS BETTER THAN NO BREAD” mjhe kuch na hone se uske tale me laga hua wo shahad us waqt nemat sa lag raha tha. me shehad slice pe lagakr khata hu kbhi kbhi jo mjhe bht psand hai, to me slice ki talash me kitchen me gaya, magar wahan kuch nahi tha. wapas mud raha tha ki mjhe roti dikhai di jo ki shayad pichhli raat ki thi aur wo bhi ghar ki nahi balki hotel ki jise sakht banne me utna hi waqt lagta hai jitna agar aap unko lakr nahane chale jayen aur wapas aker dekhen to pata nahi kis baat ki akad ajati hai in rotiyon me, magar bhukh us waqt shabab pe thi to ye akad wakad ka koi alfaaz zehen me nahi asaka shayad bhukh ne uske liye jagah hi nahi chhodi thi. me wapas us shehed ke dibbe ke paas aya aur kisi tarah usko us roti ke sahare se mene jaise hi pehla luqmaa liya haiiiii yummmmmm!!!

 Shayad us luqme ka maza meri zabaan pe taa-umr rahe. Waqai jab insaan ko ALLAH sirf kuch der ke liye hi apni ek nemat se bhi mehroom krde tab usey ahsaas hota hai Allah ki di hui nematon ka, Aur un tamam logon ki bhukh ka bhi jo na jane kitni raten bhukhe guzaar dete hain. Mene aaj apne jism ke us tanz pe bhi Allah se tauba ki jisne mjhe car k na hone ka ahsaas dilaya. Magar haan ussey dua kari ki mjhe Apni tamam nematon se nawaz. Aur mjhe apne shukr guzaar bandon me shamil rakh.

  ~Badiuzzaman

0 likes

Published By

Badiuzzaman

badiuzzaman

Comments

Appreciate the author by telling what you feel about the post 💓

Please Login or Create a free account to comment.